~CHANDNI~ said:
Merii Ankhon Pe Marta Tha
Meri Baton Pe Hansta Tha
Najaney Shakhs Tha Kesa??
Mujhe Khoney Se Darta Tha
Mujay Jab Wo Milta Tha
Yehi Har Bar Kehta Tha
Suno!!
Agr Mein Bhool Jaon Tu??
Agr Mein Rooth Jaon Tu?
Kabii Wapis Na Ahon Tu?
Bhula Pao Gay Ye Sab Kuch??
Yunhii Hansty Rahoo Gay Kia??
Yunhii Sajty Rahoo Gay Kia??
Fairl_Girl said:
Gham-e-duniyaa bahut iizaa-rasaaN hai
kahaaN hai, ai Gham-e-jaanaaN kahaaN hai
ek aaNsuu kah gayaa sab haal dil kaa
maiN samjhaa thaa ye zaalim be-zubaaN hai
ye maanaa zindagii faanii hai lekin
agar aa jaaye jiinaa, jaavidaaN hai
vo kaaNTaa hai jo chubh kar TuuT jaaye
muhabbat kii bas itnii daastaaN hai!!!!!!!
ONLYARBAB said:Khasmosh say lab ankhoon main nami hoti hai
Tari yaad jo ati hai to kuch asi aada hoti hai
Ankhoon ko band kar k us ko main sochoon to
Khamosh andharay main bas uski nigaah hoti hai
Ab ya duniya meri muha veeran si lagti hai
Khushboo tari na hoti hai na tari sada hoti hai
Jis des bhi jao tum who des tumhara ho
Ab haath jo uthta hain to yahi dua hoti hai...!!
~CHANDNI~ said:MM kahan hay
for mm ~~~SOhni pATHANi~~~~
~CHANDNI~ said:ajo pr itny raat akily MM wol ko lay lay sath
Cathy said:Ahahhahhaha Joke tha :P
KING OF JB said:ahan nice one
sun_shine said:Most welcome jee
Per I think pyaar apni manzil tak pohunchay to acha hain
nahi to yeh buhat Dukh deta hain
~tasha~ said:Silently cry in my world at night
Adrift in dreams I hold on tight
Never to find true love it seems
Dashed are my hopes and dreams
You read my life in words of rhyme
Gone with the wind my happy time
Remaining with me are memories
Away love flew upon the breeze
Many tears lets the sadness seize
eshajam said:WOW very Nice Dear ones
~CHANDNI~ said:
Kiya hai tumne hum se ek Haseen waada yaad rakhna
Bhool na jaana kahin apna irada yaad rakhna
Ab na hamain rulana tum, ab na door jaana tum
Pehle hi seh chuke hain dukh itna ziyada yaad rakhna
Dil to na dukhaoge mujhe chorr to na jaoge
Dil main hi base ho tum ab isse abaad rakhna
Tum jo chorr jaoge hum to mar hi jayenge
Tumhare dam se Zindagi hai sirf itna yaad rakhna
Chahton ki Duniya main Roshni tum hi se hai
Dil torr ke hamain chorr ke kahin na jaana yaad rakhna
~CHANDNI~ said:
yeh teri bhi aankhon ka qusur hai
Main tanha gunahgar to nahin
Kafas udas hai yaaro,subah se kuch to kaho
Kahiin to behr_e_khuda aaaj zikr_e_yaar chale
Tu is tarah se mere dil main shamil hai
Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai
Zandagii ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyaar ek daiya hai, aur mehmoob uski sarhad
Teri aur meri nazar ka na kabhi bair ho
Lo raah main takra gaye,ALLAH khair ho
Dhoondhta phirta hoon main logon main shabahat uski
Ke woh khwabon main bhi lagti hai khyalon jaisi
Ek naam kya likha tera saahil ki rait par
Phir umar bhar hawa se meri dushmani rahi
Pyaar main jadoo bhi kya maza hai
Lagta ha ke ek khubsurat saza hai
Tu aatish_e_dozakh se darata hai jin hain
Woh aag ko pee jate hain paani kar ke
Tapish suraj ki hoti hai,jalna zameen ko parta hai
Qusur aankhon ko hota hai,tarapna dil ko parta hai
Mujh se mut pouch,mere dil ki kahani O hum_dum
Is main kuch parda-nashinon ke bhi naam aate hain
Mausam hai mausam,khushboo aapke zulfon ka naam
Mausam_e_gul hai,aapke baagh main aa jaane ka naam
Tasalli ho jayegi,zara itna to bata do
Tumhe bhi hitchkiyan aati hain jab hum yad karte hai
Zaruri to nahin, ke batayain labon se dastaan apni
Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa
Shabnam k ansoo rawan thay us k
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa
Bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha
Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa
~CHANDNI~ said:lov u MM
~CHANDNI~ said:
Chand se parda kijiye Kahin chura na le chehre ka noor
aie mere umnawaz , aie mere huzoor
Aie mere humnawaz aie mere huzoor
Haan chand se parda kijiye
Julfon se udi khushboo pyaar ki
Hothon pe kheel gayee kaliyan bahar ki
Phool se parda kijiye , kahin cura na le
Chehre ka noor
Aie mere humnawaz , aie mere huzoor
Haan chand se parda kijiye
Lugti ho kisi shayar ka khayal
Aisi saadgi to hai khud men be-mishal
Aisi saaadgi to hai khud men be-mishal
Khud se parda kijiye
Haan khud se parda kijiye , kahin chur na le
Chehre ka noor
Aie mere humnawaz aie mere huzoor.
Chand se parda kijiye
Hans den jo aap agar ban jayen dasta-
Hans den jo aap agar ban jaye dasta-n
Palken jo jhuki to ruk jaye aasman-n
Rub se parda kijiye
Haan rub se parda kijiye. kahin chura na le
Chehre ka noor
Chand se parda kijiye, kahin chura a le
Chehre ka noor
Aie mere humnawaz , aie mere huzoor
ONLYARBAB said:Aur ab to
Hawaen bhi us ki tarah
Kaj udaas ho gayi hain
K meri gali se wo
Yooun daman apna bacha kar
Guzarti hain jaise
Shanasa nahi theen kabhi
Mosmom kay farishtay bhi
Jaisay rutoon ko badalna
Bhula se gaye hain
Door tak soch ki dharti par
Dard ki fasal hi ugg ayi hai
Ye suna hai k ab katib-e-waqt ne
Wisal k paney par ja baja
Hijar ka alfaz likh dala hai
Aur judai k is lafz ko parhte parhte
Meri ankhain bhi
Qurbaton k haseen naram chehre
Sabhi bhoolti ja rahi hain
Ye mehjoriyan is qadar barh gayi hain
K ab too
Usay khuwab main dekhna bhi
Mujhey khuwab sa lagta hai
ONLYARBAB said:Naa gubaar mein na gulaab mein mujhe dekhanaa
mere dard ki aab-o-tab mein mujhe dekhanaa ,
kisi vaqt shaam malaal mein mujhe sochanaa
kabhii apane dil ki kitaab mein mujhe dekhanaa,
kisi dhun mein tum bhii jo bastiyon ko tyaag do
isii rah-e-Khaanaa Kharaab mein mujhe dekhanaa ,
kisi raat maah-o-najuum se mujhe puuchhanaa
kabhii apanii chashm puraab mein mujhe dekhanaa ,
,
Isi dil se ho kar guzar gaye kai kaaravaan
kii hijraton ke zaab mein mujhe dekhanaa,
main na mil sakuun bhii to ,kyaa huaa ke fasaanaa huun
nai daastaan naye baab mein mujhe dekhanaa ,
mere Khaar Khaar savaal mein mujhe Dhundhana
mere geet mein, mere Khvaab mein mujhe dekhanaa,
mere aansuon ne bujhaai thi merii tashnagii
Isii barg ziidaa sahaab mein mujhe dekhanaaa,
vahii ik lamhaa diid thaa ke rukaa rahaa
mere roz-o-shab ke hisaab mein mujhe dekhanaa,
jo tadap tujhe kisi aaiine mein na mil sake
to phir aaiine ke javaab mein mujhe dekhanaa...